Sunday, May 27, 2018

Nikle Wo Phool Ban Ke Tere Gulsitaan Se Hum

Nikle wo phool ban ke tere gulsitaan se hum,
Mahka diya fazaon ko guzre jahaan se hum,

Ab to yahi hareem-e-mohabbat hai ai sanam,
Jaayen kahaan ab uth ke tere aastaan se hum,

Duniya mein ab kahin bhi theharti nahin nazar,
Tujh sa haseen laayen to laayen kahaan se hum,

Dil le ke jis ne dard-e-mohabbat ata kiya,
Maangenge ab dawa bhi usi mehrbaan se hum,

Daaman mein kuchh to daal de apne karam ki bheekh,
Daaman tahi na jaayenge us aastaan se hum,

Tera karam raha jo raah-e-ishq mein sanam,
Ek roz aa milenge tere karwaan se hum,

Likkhi hui thi qaid-e-anasir naseeb mein,
Le kar chale hain apna qafas aashiyaan se hum,

Raah-e-junoon mein khilne lage aashiqi ki phool,
Un ke karam ke saaye mein guzre jahaan se hum,

Thukrayen ya nawaaz lein wo hum ko ai 'Fana',
Shikwa kabhi karenge na apni zabaan se hum.!!

"Fana Bulandshahri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...