Na dahr mein na haram mein jabeen jhuki hogi,
Tumhaare dar pe ada meri bandagi hogi,
Nigah-e-yaar meri samt phir uthi hogi,
Sambhal sakunga na main aisi ye be-khudi hogi,
Nigaah pher ke ja to raha hai tu lekin,
Tere baghair basar kaise zindagi hogi,
Kisi tarah bhi piyein hum gharaz hai peene se,
Nahin hai jaam to aankhon se may-kashi hogi,
Tamaam hosh ki duniya nisaar hai us par,
Teri gali mein jise neend aa gayi hogi,
Guzar hi jayega duniya se be-talab ho kar,
Tere khyaal se jis dil ko dosti hogi,
Jamaal-e-yaar pe yun jaan nisaar karta hun,
Fana ke baad 'Fana' ghar mein raushni hogi.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment