Main talkhi-e-hayaat se ghabra ke pi gaya,
Ghum ki siyah raat se ghabra ke pi gaya,
Itni daqeeq shai koi kaise samajh sake,
Yazdaa'n ke waqiaat se ghabra ke pi gaya,
Chhalke hue the jaam pareshan thi zulf-e-yaar,
Kuchh aise haadsaat se ghabra ke pi gaya,
Main aadmi hun koi farishta nahin huzoor,
Main aaj apni zaat se ghabra ke pi gaya,
Duniya-e-haadsaat hai ek dardnaak geet,
Duniya-e-haadsaat se ghabra ke pi gaya,
Kaante to khair kaante hain is ka gila hi kya,
Phoolon ki waardaat se ghabra ke pi gaya,
'Saghar' wo kah rahe the ki pi lijiye huzoor,
Un ki guzarishaat se ghabra ke pi gaya.!!
"Saghar Siddiqui"
No comments:
Post a Comment