Monday, December 11, 2017

Ai Gaaon Se Aane Waale Bata

Ai gaaon se aane waale bata..

kya haal hai mere gaaon ka ?
peepal ki thandi chhaon ka ?
sharmili shokh nighaahon ka ?
un naaz bhari adaaon ka ?..

Ai gaaon se aane waale bata..

aaj-kal humare gaaon mein kaisa sawera hota hai ?
kya ab bhi un ke aangan mein phoolon ka basera hota hai ?
panchhi geet sunaate hain jab door andhera hota hai ?
un ke dil mein kya ab bhi meri yaad ka dera hota hai ?..

Ai gaaon se aane waale bata..

kya ab gaaon ki galiyon mein bachche shor machaate hain ?
pyaari pyaari baaton se sab ka dil behlaate hain ?
gudde our guddi ki shaadi bhi karwaate hain ?
aur chhutti ke din kheton mein maa – baap ka haath baTaate hain ?..

Ai gaaon se aane waale bata..

kya ab bhi humare khaito ke samaan sehaane hote hain ?
kya ab bhi jawaanon ke lab par waise taraane hote hain ?
hum khel jo khela karte the, wahi khel puraane hote hain ?..

Ai gaaon se aane waale bata..

kya ab bhi gaaon ki naariyan paani bharne jaati hain ?
apne sundar pairon ki paayal bhi chhankaati hain ?
sab sakhiyaan ek-dooji ko dil ka haal sunaati hain ?
aur apne naazuk saron par teen – chaar ghade uthaati hain ?

Ai gaaon se aane waale bata..

kuchh toh mujh ko haal suna meri mehbooba matwaali ka..
jheel si jis ki aankhen thi,naagin zulfon waali ka..
phool sa jis ka chehra tha, maasoom si bholi-bhaali ka..
jo pawan ke ishq mein paagal thi uss paagal dil waali ka..
kya woh ab bhi takti hai meri raah ???

Ai gaaon se aane waale bata.!!

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...